jigar ko dagh main manind-e-lala kya karta
jigar ko daaġh maiñ mānind-e-lāla kyā kartā
labālab apne lahū kā piyāla kyā kartā
milā na sarv ko kuchh apnī rāstī meñ phal
kulāh kaj jo na kartā to laala kyā kartā
jarīda meñ rah-e-pur-ḳhūn-e-ishq se guzrā
jaras se qāfile meñ bahs-e-nāla kyā kartā
junūn-e-ishq meñ rahnā thā imtiyāz na kuchh
chakor tauq-e-gulū mah kā haala kyā kartā
bajā kiyā use toḌā jo sar se dariyā ke
habāb le ke ye ḳhālī piyāla kyā kartā
na khāyā ġhussa kabhī ḳhvānche se qismat ke
phañse jo halq meñ maiñ vo nivāla kyā kartā
balā-e-bad huī dāġhoñ se sardī-e-kāfūr
sulūk nek zarā.at se zhāla kyā kartā
diyā navishta na us but ko dil ke tuude meñ
ḳhudā ke ghar kā bhalā maiñ qabāla kyā kartā
safā huā na riyāzat se nafs-e-ammāra
koī najāsat-e-sag kā izāla kyā kartā
lagī hai aag jo kambal kabhī uḌhāyā hai
tire barahna se garmī do-shāla kyā kartā
na kartī aql agar muft āsmāñ kī sair
koī ye saat varaq kā risāla kyā kartā
mirī taraf jo unheñ khīñchtī kashish dil kī
butoñ ko brahmanoñ kā havāla kyā kartā
kisī ne mol na pūchhā dil-e-shikasta kā
koī ḳharīd ke TuuTā piyāla kyā kartā
urūs-e-dahr se bū-e-vafā nahīñ aatī
bhalā jigar kā maiñ us ke izāla kyā kartā
mah-e-do-hafta bhī hotā to lutf thā 'ātish'
akele pī ke sharāb-e-do-sāla kyā kartā
jigar ko dagh main manind-e-lala kya karta
labaalab apne lahu ka piyala kya karta
mila na sarw ko kuchh apni rasti mein phal
kulah kaj jo na karta to lala kya karta
jarida mein rah-e-pur-KHun-e-ishq se guzra
jaras se qafile mein bahs-e-nala kya karta
junun-e-ishq mein rahna tha imtiyaz na kuchh
chakor tauq-e-gulu mah ka haala kya karta
baja kiya use toDa jo sar se dariya ke
habab le ke ye KHali piyala kya karta
na khaya ghussa kabhi KHwanche se qismat ke
phanse jo halq mein main wo niwala kya karta
bala-e-bad hui daghon se sardi-e-kafur
suluk nek zaraat se zhaala kya karta
diya nawishta na us but ko dil ke tude mein
KHuda ke ghar ka bhala main qabaala kya karta
safa hua na riyazat se nafs-e-ammara
koi najasat-e-sag ka izala kya karta
lagi hai aag jo kambal kabhi uDhaya hai
tere barahna se garmi do-shaala kya karta
na karti aql agar muft aasman ki sair
koi ye sat waraq ka risala kya karta
meri taraf jo unhen khinchti kashish dil ki
buton ko brahmanon ka hawala kya karta
kisi ne mol na puchha dil-e-shikasta ka
koi KHarid ke TuTa piyala kya karta
urus-e-dahr se bu-e-wafa nahin aati
bhala jigar ka main us ke izala kya karta
mah-e-do-hafta bhi hota to lutf tha 'atish'
akele pi ke sharab-e-do-sala kya karta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.