Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jhuTi hi tasalli ho kuchh dil to bahal jae

Fana Nizami Kanpuri

jhuTi hi tasalli ho kuchh dil to bahal jae

Fana Nizami Kanpuri

MORE BYFana Nizami Kanpuri

    jhūTī tasallī ho kuchh dil to bahal jaa.e

    dhuñdlī sahī lekin ik sham.a to jal jaa.e

    is mauj Takkar se sāhil bhī laraztā hai

    kuchh roz to tūfāñ āġhosh meñ pal jaa.e

    majbūri-e-sāqī bhī ai tishna-labo samjho

    vaa.iz ye manshā hai mai-ḳhvāroñ meñ chal jaa.e

    ai jalva-e-jānāna phir aisī jhalak dikhlā

    hasrat bhī rahe baaqī armāñ bhī nikal jaa.e

    is vāste chheḌā hai parvānoñ afsāna

    shāyad tire kānoñ tak paiġhām-e-amal jaa.e

    mai-ḳhāna-e-hastī meñ mai-kash vahī mai-kash hai

    sañbhle to bahak jaa.e bahke to sañbhal jaa.e

    ham ne to 'fanā' itnā mafhūm-e-ġhazal samjhā

    ḳhud zindagī-e-shā'ir ash.ār meñ Dhal jaa.e

    jhuTi hi tasalli ho kuchh dil to bahal jae

    dhundli hi sahi lekin ek shama to jal jae

    is mauj ki Takkar se sahil bhi larazta hai

    kuchh roz to tufan ki aaghosh mein pal jae

    majburi-e-saqi bhi ai tishna-labo samjho

    waiz ka ye mansha hai mai-KHwaron mein chal jae

    ai jalwa-e-jaanana phir aisi jhalak dikhla

    hasrat bhi rahe baqi arman bhi nikal jae

    is waste chheDa hai parwanon ka afsana

    shayad tere kanon tak paigham-e-amal jae

    mai-KHana-e-hasti mein mai-kash wahi mai-kash hai

    sanbhle to bahak jae bahke to sanbhal jae

    hum ne to 'fana' itna mafhum-e-ghazal samjha

    KHud zindagi-e-sha'ir ashaar mein Dhal jae

    Source :
    • Book : urdu kii chunii hu.ii gazale.n (Pg. 39)
    • Author : devendra issar
    • Publication : sahityaa parkaashak maalbaara delhi (1963)
    • Edition : 1963
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now