jangalon mein kahin kho jaana hai
jañgaloñ meñ kahīñ kho jaanā hai
jānvar phir mujhe ho jaanā hai
rāste meñ kahīñ saaya jo mile
umr bhar ke liye so jaanā hai
ye samundar haiñ bahut nā-kāfī
saarī duniyā ko Dubo jaanā hai
koī qīmat nahīñ in ashkoñ kī
muntaqil dhartī meñ ho jaanā hai
koī manzil nahīñ miltī 'māmūn'
kahīñ raste hī meñ so jaanā hai
jangalon mein kahin kho jaana hai
jaanwar phir mujhe ho jaana hai
raste mein kahin saya jo mile
umr bhar ke liye so jaana hai
ye samundar hain bahut na-kafi
sari duniya ko Dubo jaana hai
koi qimat nahin in ashkon ki
muntaqil dharti mein ho jaana hai
koi manzil nahin milti 'mamun'
kahin raste hi mein so jaana hai
- Book : Sanson Ke Paar (Pg. 205)
- Author : Khalil Mamoon
- Publication : Educational Publishing House, Delhi (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.