jab safar se lauT kar aane ki tayyari hui
jab safar se lauT kar aane kī tayyārī huī
be-ta.alluq thī jo shai vo bhī bahut pyārī huī
chaar sāñseñ thiiñ magar siine ko bojhal kar ga.iiñ
do qadam kī ye masāfat kis qadar bhārī huī
ek manzar hai ki āñkhoñ se saraktā hī nahīñ
ek saa.at hai ki saarī umr par taarī huī
is tarah chāleñ badaltā huuñ bisāt-e-dahr par
jiit lūñgā jis tarah ye zindagī haarī huī
kin tilismī rāstoñ meñ umr kaaTī 'āftāb'
jis qadar āsāñ lagā utnī hī dushvārī huī
jab safar se lauT kar aane ki tayyari hui
be-talluq thi jo shai wo bhi bahut pyari hui
chaar sansen thin magar sine ko bojhal kar gain
do qadam ki ye masafat kis qadar bhaari hui
ek manzar hai ki aankhon se sarakta hi nahin
ek saat hai ki sari umr par tari hui
is tarah chaalen badalta hun bisat-e-dahr par
jit lunga jis tarah ye zindagi haari hui
kin tilismi raston mein umr kaTi 'aftab'
jis qadar aasan laga utni hi dushwari hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.