Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab kabhi nam-e-mohamad lab pe mere aae hai

Bismil Azimabadi

jab kabhi nam-e-mohamad lab pe mere aae hai

Bismil Azimabadi

MORE BYBismil Azimabadi

    jab kabhī nām-e-mohamād lab pe mere aa.e hai

    lab se lab milte haiñ jaise dil se dil mil jaa.e hai

    jab koī ġhuncha chaman bin khile murjhā.e hai

    kyā kaheñ kyā kyā chaman vāloñ ko ronā aa.e hai

    koī kah detā ki ab kaahe ko qāsid aa.e hai

    zo.af se bīmār ko uTThā na baiThā jaa.e hai

    ho na ho kuchh baat hai tab mirā ghabrā.e hai

    aap aa.e haiñ na ḳhat bhej kar bulvā.e hai

    raat bhī rote kaTī hai din bhī guzrā jaa.e hai

    aane vaale kuchh nahīñ ma.alūm kab se aa.e hai

    tere dīvāne pe aisī bhī ghaḌī aa jaa.e hai

    dam-ba-ḳhud rah jaa.e hai sochā na samjhā jaa.e hai

    ek din vo din the rone pe hañsā karte the ham

    ek ye din haiñ ki ab hañsne pe ronā aa.e hai

    barq ko kyā jaane kyā zid hai nasheman se mire

    chaar tinkoñ qasam vo bhī na dekhā jaa.e hai

    hijr rātoñ meñ bhī tanhā kahāñ rahtā hai zehn

    tum kabhī aa jaao ho, dushman kabhī aa jaa.e hai

    meñ rakhte haiñ kaheñ bhī to kisī se kyā kaheñ

    shikva un yuuñ to lab par baar baar aa jaa.e hai

    bigḌī ban jaatī hai, ye sach hai magar ai ham-nashīñ

    nā-murādī burā ho, baiThā jaa.e hai

    ik ġhalat sajde se kyā hotā hai vaa.iz kuchh na pūchh

    umr bhar sab riyāzat ḳhaak meñ mil jaa.e hai

    aap ik zulf suljhāne ko lākhoñ haath haiñ

    merī gutthī bhī koī aa kar kabhī suljhā.e hai

    jab kabhi nam-e-mohamad lab pe mere aae hai

    lab se lab milte hain jaise dil se dil mil jae hai

    jab koi ghuncha chaman ka bin khile murjhae hai

    kya kahen kya kya chaman walon ko rona aae hai

    koi kah deta ki ab kahe ko qasid aae hai

    zoaf se bimar ko uTTha na baiTha jae hai

    ho na ho kuchh baat hai tab ji mera ghabrae hai

    aap aae hain na KHat hi bhej kar bulwae hai

    raat bhi rote kaTi hai din bhi guzra jae hai

    aane wale kuchh nahin malum kab se aae hai

    tere diwane pe aisi bhi ghaDi aa jae hai

    dam-ba-KHud rah jae hai socha na samjha jae hai

    ek din wo din the rone pe hansa karte the hum

    ek ye din hain ki ab hansne pe rona aae hai

    barq ko kya jaane kya zid hai nasheman se mere

    chaar tinkon ki qasam wo bhi na dekha jae hai

    hijr ki raaton mein bhi tanha kahan rahta hai zehn

    tum kabhi aa jao ho, dushman kabhi aa jae hai

    ji mein rakhte hain kahen bhi to kisi se kya kahen

    shikwa un ka yun to lab par bar bar aa jae hai

    bigDi ban jati hai, ye sach hai magar ai ham-nashin

    na-muradi ka bura ho, ji hi baiTha jae hai

    ek ghalat sajde se kya hota hai waiz kuchh na puchh

    umr bhar ki sab riyazat KHak mein mil jae hai

    aap ki ek zulf suljhane ko lakhon hath hain

    meri gutthi bhi koi aa kar kabhi suljhae hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now