Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab kabhi dard ke maron ki taraf dekhta hun

Asim Tanha

jab kabhi dard ke maron ki taraf dekhta hun

Asim Tanha

jab kabhī dard ke māroñ taraf dekhtā huuñ

maiñ haqīqat meñ sitāroñ taraf dekhtā huuñ

Dūbtā huuñ to mujhe haath ka.ī milte haiñ

kitnī hasrat se kināroñ taraf dekhtā huuñ

chādareñ un ko mayassar haiñ magar mujh ko nahīñ

maiñ to sardī meñ mazāroñ taraf dekhtā huuñ

kyoñ ravānī liye aayā hai yahāñ par dariyā

fikr hotī hai savāroñ taraf dekhtā huuñ

ab mire ghar se kahāñ chāñd dikhā.ī degā

maiñ ye hasrat liye tāroñ taraf dekhtā huuñ

haañ musībat koī aa jaa.e achānak mujh par

to kahīñ bhī nahīñ yāroñ taraf dekhtā huuñ

jab kabhi dard ke maron ki taraf dekhta hun

main haqiqat mein sitaron ki taraf dekhta hun

Dubta hun to mujhe hath kai milte hain

kitni hasrat se kinaron ki taraf dekhta hun

chadaren un ko mayassar hain magar mujh ko nahin

main to sardi mein mazaron ki taraf dekhta hun

kyon rawani liye aaya hai yahan par dariya

fikr hoti hai sawaron ki taraf dekhta hun

ab mere ghar se kahan chand dikhai dega

main ye hasrat liye taron ki taraf dekhta hun

han musibat koi aa jae achanak mujh par

to kahin bhi nahin yaron ki taraf dekhta hun

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now