jab dekho chhup jata hai tu
jab dekho chhup jaatā hai tū
mujh se kyā sharmātā hai tū
tere yaar haiñ tere jaise
ḳhud ko kaisā paatā hai tū
maiñ ne us ko bhī dekhā hai
jis kī qasmeñ khātā hai tū
haañ mujh ko ma.alūm nahīñ hai
merī ġhazleñ gaatā hai tū
dil to apne aap meñ gum hai
ab kis ko taḌpātā hai tū
ḳhvāb meñ hī jab milnā hai to
āñkheñ kyuuñ khulvātā hai tū
kaise kaise maiñ bhūlā huuñ
kaise yaad aa jaatā hai tū
aisā bhī kyā chhupnā 'momin'
DhūñDo to mil jaatā hai tū
jab dekho chhup jata hai tu
mujh se kya sharmata hai tu
tere yar hain tere jaise
KHud ko kaisa pata hai tu
main ne us ko bhi dekha hai
jis ki qasmen khata hai tu
han mujh ko malum nahin hai
meri ghazlen gata hai tu
dil to apne aap mein gum hai
ab kis ko taDpata hai tu
KHwab mein hi jab milna hai to
aankhen kyun khulwata hai tu
kaise kaise main bhula hun
kaise yaad aa jata hai tu
aisa bhi kya chhupna 'momin'
DhunDo to mil jata hai tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.