jab ayan subh ko wo nur-e-mujassam ho jae
jab ayaañ sub.h ko vo nūr-e-mujassam ho jaa.e
gauhar-e-shabnam-e-gul nayyar-e-āzam ho jaa.e
marsiya ho mujhe gaanā jo sunūñ furqat meñ
be-tere bazm-e-ġhinā majlis-e-mātam ho jaa.e
dekh kar tūl-e-shab-e-hijr duā kartā huuñ
vasl ke roz se bhī umr mirī kam ho jaa.e
dekh kar phūloñ ko añgāroñ pe loTūñ ai gul
be-tere gulshan-e-firdaus jahannam ho jaa.e
kam nahīñ milk-e-sulemāñ se visāl-e-sāqī
gardish-e-jām mujhe halqa-e-ḳhātam ho jaa.e
jab ayan subh ko wo nur-e-mujassam ho jae
gauhar-e-shabnam-e-gul nayyar-e-azam ho jae
marsiya ho mujhe gana jo sunun furqat mein
be-tere bazm-e-ghina majlis-e-matam ho jae
dekh kar tul-e-shab-e-hijr dua karta hun
wasl ke roz se bhi umr meri kam ho jae
dekh kar phulon ko angaron pe loTun ai gul
be-tere gulshan-e-firdaus jahannam ho jae
kam nahin milk-e-suleman se visal-e-saqi
gardish-e-jam mujhe halqa-e-KHatam ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.