jata hai jo gharon ko wo rasta badal diya
jaatā hai jo gharoñ ko vo rasta badal diyā
āñdhī ne mere shahr kā naqsha badal diyā
pahchān jin se thī vo havāle miTā diye
us ne kitāb-e-zāt kā safha badal diyā
kitnā ajiib hai vo musavvir ki ġhaur se
dekhe jo ḳhadd-o-ḳhāl to chehra badal diyā
vo khel thā mazāq thā yā ḳhauf thā koī
ik chaal chal ke us ne jo mohra badal diyā
kartā rahā asīrī ke ehsās ko shadīd
zanjīr khol dī kabhī pahrā badal diyā
jata hai jo gharon ko wo rasta badal diya
aandhi ne mere shahr ka naqsha badal diya
pahchan jin se thi wo hawale miTa diye
us ne kitab-e-zat ka safha badal diya
kitna ajib hai wo musawwir ki ghaur se
dekhe jo KHadd-o-KHal to chehra badal diya
wo khel tha mazaq tha ya KHauf tha koi
ek chaal chal ke us ne jo mohra badal diya
karta raha asiri ke ehsas ko shadid
zanjir khol di kabhi pahra badal diya
- Book : yadain bhi ab khwab hoin (Pg. 77)
- Author : faatima hasan
- Publication : B-155 Block -5 gulshan iqbaal karachi (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.