Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaane wo kaun tha aur kis ko sada deta tha

Rajinder Manchanda Bani

jaane wo kaun tha aur kis ko sada deta tha

Rajinder Manchanda Bani

MORE BYRajinder Manchanda Bani

    jaane vo kaun thā aur kis ko sadā detā thā

    us se bichhḌā hai koī itnā pata detā thā

    koī kuchh pūchhe to kahtā ki havā se bachnā

    ḳhud bhī Dartā thā bahut sab ko Darā detā thā

    us āvāz ki be-dāġh ā.īna thī

    talḳh jumla bhī vo kahtā to maza detā thā

    din-bhar ek ek se vo laḌtā-jhagaḌtā bhī bahut

    raat ke pichhle-pahar sab ko duā detā thā

    vo kisī bhī koī nashsha na bujhne detā

    dekh letā kahīñ imkāñ to havā detā thā

    ik hunar thā ki jise ke vo phir kho na sakā

    ek ik baat ehsās nayā detā thā

    jaane bastī vo ik moḌ thā kyā us ke liye

    shaam Dhalte vahāñ sham.a jalā detā thā

    ek bhī shaḳhs bahut thā ki ḳhabar rakhtā thā

    ek taarā bhī bahut thā ki sadā detā thā

    ruḳh havā koī jab pūchhtā us se 'bānī'

    muTThī-bhar ḳhaak ḳhalā meñ vo uḌā detā thā

    jaane wo kaun tha aur kis ko sada deta tha

    us se bichhDa hai koi itna pata deta tha

    koi kuchh puchhe to kahta ki hawa se bachna

    KHud bhi Darta tha bahut sab ko Dara deta tha

    us ki aawaz ki be-dagh sa aaina thi

    talKH jumla bhi wo kahta to maza deta tha

    din-bhar ek ek se wo laDta-jhagaDta bhi bahut

    raat ke pichhle-pahar sab ko dua deta tha

    wo kisi ka bhi koi nashsha na bujhne deta

    dekh leta kahin imkan to hawa deta tha

    ek hunar tha ki jise pa ke wo phir kho na saka

    ek ek baat ka ehsas naya deta tha

    jaane basti ka wo ek moD tha kya us ke liye

    sham Dhalte hi wahan shama jala deta tha

    ek bhi shaKHs bahut tha ki KHabar rakhta tha

    ek tara bhi bahut tha ki sada deta tha

    ruKH hawa ka koi jab puchhta us se 'bani'

    muTThi-bhar KHak KHala mein wo uDa deta tha

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now