Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaan dena bas ek ziyan ka sauda tha

Zehra Nigaah

jaan dena bas ek ziyan ka sauda tha

Zehra Nigaah

jaañ denā bas ek ziyāñ saudā thā

rāh-e-talab meñ kis ko ye andāza thā

āñkhoñ meñ dīdār kājal Daalā thā

āñchal pe ummīd taara Tāñkā thā

hāthoñ bāñkeñ chhan chhan chhan hañstī thiiñ

pairoñ jhāñjhan ko ġhussa aatā thā

havā sakhī thī merī, rut ham-jolī thī

ham tīnoñ ne mil kar kyā kyā sochā thā

har kone meñ apne aap se bāteñ kiiñ

har pahchal par ā.īne meñ dekhā thā

shaam Dhale aahaT kirneñ phūTī thiiñ

sūraj Duub ke mere ghar meñ niklā thā

jaan dena bas ek ziyan ka sauda tha

rah-e-talab mein kis ko ye andaza tha

aankhon mein didar ka kajal Dala tha

aanchal pe ummid ka tara Tanka tha

hathon ki banken chhan chhan chhan hansti thin

pairon ki jhanjhan ko ghussa aata tha

hawa sakhi thi meri, rut ham-joli thi

hum tinon ne mil kar kya kya socha tha

har kone mein apne aap se baaten kin

har pahchal par aaine mein dekha tha

sham Dhale aahaT ki kirnen phuTi thin

suraj Dub ke mere ghar mein nikla tha

Source :
  • Book : Sham ka Pahla Tara (Pg. 96)
  • Author : ZEHRA NIGAAH
  • Edition : 1980
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now