ja ke phir lauT jo aae wo zamana kaisa
jā ke phir lauT jo aa.e vo zamāna kaisā
terī āñkhoñ ne ye chheḌā hai fasāna kaisā
aañkh sarshār-e-tamannā hai to vā'da kar le
chaal kahtī hai ki ab lauT ke aanā kaisā
mujh se kahtā hai ki saa.e kī tarah saath haiñ ham
yuuñ na milne kā nikālā hai bahāna kaisā
us kā shikva to nahīñ hai na mile tum ham se
rañj us kā hai ki tum ne hameñ jaanā kaisā
ḳhud bhī sochā thā bahut us ne bhī pūchhā thā bahut
haal jab ḳhud hī na samjhe to sunānā kaisā
tujh ko paane kī havas thī so kise thā mā'lūm
apne hī aap ko kho baiTheñge paanā kaisā
ja ke phir lauT jo aae wo zamana kaisa
teri aankhon ne ye chheDa hai fasana kaisa
aankh sarshaar-e-tamanna hai to wa'da kar le
chaal kahti hai ki ab lauT ke aana kaisa
mujh se kahta hai ki sae ki tarah sath hain hum
yun na milne ka nikala hai bahana kaisa
us ka shikwa to nahin hai na mile tum hum se
ranj us ka hai ki tum ne hamein jaana kaisa
KHud bhi socha tha bahut us ne bhi puchha tha bahut
haal jab KHud hi na samjhe to sunana kaisa
tujh ko pane ki hawas thi so kise tha ma'lum
apne hi aap ko kho baiThenge pana kaisa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.