ishq mein jis ke ye ahwal bana rakkha hai
ishq meñ jis ke ye ahvāl banā rakkhā hai
ab vahī kahtā hai is vaz.a meñ kyā rakkhā hai
le chale ho mujhe is bazm meñ yaaro lekin
kuchh mirā haal bhī pahle se sunā rakkhā hai
hāl-e-dil kaun sunā.e use fursat kis ko
sab ko is aañkh ne bātoñ meñ lagā rakkhā hai
dil burā thā ki bhalā kaam vafā ke aayā
yaar jaane bhī de is bahas meñ kyā rakkhā hai
ai sabā aa ki dikhā.eñ tujhe vo gul jis ne
bātoñ hī bātoñ meñ gulzār khilā rakkhā hai
dekh ai dil na kahīñ baat ye us tak pahuñche
chashm-e-namnāk ne tūfān uThā rakkhā hai
husn chāhe jise hañs bol ke apnā kar le
dil ne apnoñ ko bhī begāna banā rakkhā hai
dil jo is bazm meñ aatā hai to jaatā hī nahīñ
ek din dekhnā dīvāna huā rakkhā hai
haal mat pūchh mohabbat kā havā hai kuchh aur
lā ke kis ne ye sar-e-rāh diyā rakkhā hai
intizām aisā ki ghaTtī hī nahīñ raunaq-e-bazm
ham se kitne haiñ ki vaade pe lagā rakkhā hai
hosh to pahle hī kho aa.e the us mahfil meñ
ab agar jaa.eñ to phir dil bhī gayā rakkhā hai
tere aane kī ḳhabar pā ke abhī se dil ne
shikve ko aur kisī din pe uThā rakkhā hai
bār-hā yuuñ bhī huā terī mohabbat kī qasam
jaan kar ham ne tujhe ḳhud se ḳhafā rakkhā hai
dasht o dar ḳhair manā.eñ ki abhī vahshat meñ
ishq ne pahlā qadam nām-e-ḳhudā rakkhā hai
hijr meñ ranj bhī karte haiñ pe itnā bhī salīm
yaar tū ne to ajab haal banā rakkhā hai
ishq mein jis ke ye ahwal bana rakkha hai
ab wahi kahta hai is waza mein kya rakkha hai
le chale ho mujhe is bazm mein yaro lekin
kuchh mera haal bhi pahle se suna rakkha hai
haal-e-dil kaun sunae use fursat kis ko
sab ko is aankh ne baaton mein laga rakkha hai
dil bura tha ki bhala kaam wafa ke aaya
yar jaane bhi de is bahas mein kya rakkha hai
ai saba aa ki dikhaen tujhe wo gul jis ne
baaton hi baaton mein gulzar khila rakkha hai
dekh ai dil na kahin baat ye us tak pahunche
chashm-e-namnak ne tufan uTha rakkha hai
husn chahe jise hans bol ke apna kar le
dil ne apnon ko bhi begana bana rakkha hai
dil jo is bazm mein aata hai to jata hi nahin
ek din dekhna diwana hua rakkha hai
haal mat puchh mohabbat ka hawa hai kuchh aur
la ke kis ne ye sar-e-rah diya rakkha hai
intizam aisa ki ghaTti hi nahin raunaq-e-bazm
hum se kitne hain ki wade pe laga rakkha hai
hosh to pahle hi kho aae the us mahfil mein
ab agar jaen to phir dil bhi gaya rakkha hai
tere aane ki KHabar pa ke abhi se dil ne
shikwe ko aur kisi din pe uTha rakkha hai
bar-ha yun bhi hua teri mohabbat ki qasam
jaan kar hum ne tujhe KHud se KHafa rakkha hai
dasht o dar KHair manaen ki abhi wahshat mein
ishq ne pahla qadam nam-e-KHuda rakkha hai
hijr mein ranj bhi karte hain pe itna bhi salim
yar tu ne to ajab haal bana rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.