Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq mein dil-lagi si rahti hai

Riyaz Khairabadi

ishq mein dil-lagi si rahti hai

Riyaz Khairabadi

ishq meñ dil-lagī rahtī hai

ġham bhī ho to ḳhushī rahtī hai

dil meñ kuchh gudgudī rahtī hai

muñh par un ke hañsī rahtī hai

ye huā hai ḳhudā ḳhudā kar ke

rāt-din be-ḳhudī rahtī hai

hashr ke din bhī kuchh gunah kar luuñ

ma.asiyat meñ kamī rahtī hai

sadqe maiñ apne ġhuncha-dil ke

ye kalī kuchh khilī rahtī hai

itnī hai ki ba.ad-e-tauba bhī

be-piye be-ḳhudī rahtī hai

aish bhī ho to lutf-e-aish nahīñ

har-dam afsurdagī rahtī hai

shab-e-ġham sahar meñ nuur kahāñ

sub.h bhī shaam rahtī hai

ye nahīñ hai ki parda paḌ jaa.e

nashshe meñ āgahī rahtī hai

rahte haiñ gul lahad ke pazhmurda

sham.a bhī kuchh bujhī rahtī hai

ho ga.ī kyā balā mire ghar ko

rāt-din tīrgī rahtī hai

ab junūñ evaz hai yād-e-junūñ

haath meñ hathkaḌī rahtī hai

kaf-e-pā se hinā nahīñ chhuTtī

aag ye kuchh dabī rahtī hai

terī tasvīr ho ki teġh tirī

ham se har-dam khiñchī rahtī hai

badle botal ke ab haram meñ 'riyāz'

haath meñ zamzamī rahtī hai

ishq mein dil-lagi si rahti hai

gham bhi ho to KHushi si rahti hai

dil mein kuchh gudgudi si rahti hai

munh par un ke hansi si rahti hai

ye hua hai KHuda KHuda kar ke

raat-din be-KHudi si rahti hai

hashr ke din bhi kuchh gunah kar lun

masiyat mein kami si rahti hai

sadqe main apne ghuncha-dil ke

ye kali kuchh khili si rahti hai

itni pi hai ki baad-e-tauba bhi

be-piye be-KHudi si rahti hai

aish bhi ho to lutf-e-aish nahin

har-dam afsurdagi si rahti hai

shab-e-gham ki sahar mein nur kahan

subh bhi sham hi si rahti hai

ye nahin hai ki parda paD jae

nashshe mein aagahi si rahti hai

rahte hain gul lahad ke pazhmurda

shama bhi kuchh bujhi si rahti hai

ho gai kya bala mere ghar ko

raat-din tirgi si rahti hai

ab junun ki ewaz hai yaad-e-junun

hath mein hathkaDi si rahti hai

kaf-e-pa se hina nahin chhuTti

aag ye kuchh dabi si rahti hai

teri taswir ho ki tegh teri

hum se har-dam khinchi si rahti hai

badle botal ke ab haram mein 'riyaz'

hath mein zamzami si rahti hai

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now