in andheron se pare is shab-e-gham se aage
in añdheroñ se pare is shab-e-ġham se aage
ik na.ī sub.h bhī hai shām-e-alam se aage
dasht meñ kis se kareñ ābla-pā.ī kā gilā
rahnumā koī nahīñ naqsh-e-qadam se aage
saaz meñ kho.e rahe soz na samjhā koī
dard kī Tiis thī pāzeb kī chham se aage
ai ḳhoshā azm-e-javāñ zauq-e-safar josh-e-talab
hādse baḌh na sake apne qadam se aage
yaad hai lazzat-e-āzār-e-mohabbat ab tak
dil ko miltā thā sukūñ mashq-e-sitam se aage
surḳh-rū hai jahāñ tārīḳh-e-do-ālam 'ishrat'
ḳhuun Tapkā hai vahīñ nok-e-qalam se aage
in andheron se pare is shab-e-gham se aage
ek nai subh bhi hai sham-e-alam se aage
dasht mein kis se karen aabla-pai ka gila
rahnuma koi nahin naqsh-e-qadam se aage
saz mein khoe rahe soz na samjha koi
dard ki Tis thi pazeb ki chham se aage
ai KHosha azm-e-jawan zauq-e-safar josh-e-talab
hadse baDh na sake apne qadam se aage
yaad hai lazzat-e-azar-e-mohabbat ab tak
dil ko milta tha sukun mashq-e-sitam se aage
surKH-ru hai jahan tariKH-e-do-alam 'ishrat'
KHun Tapka hai wahin nok-e-qalam se aage
- Book : Sahar Numa (Pg. 95)
- Author : Ishrat Qadri
- Publication : Madhya Pradesh Urdu Academy (1984)
- Edition : 1984
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.