Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

udas raat hai koi to KHwab de jao

Bashir Badr

udas raat hai koi to KHwab de jao

Bashir Badr

udaas raat hai koī to ḳhvāb de jaao

mire gilās meñ thoḌī sharāb de jaao

bahut se aur bhī ghar haiñ ḳhudā bastī meñ

faqīr kab se khaḌā hai javāb de jaao

maiñ zard pattoñ pe shabnam sajā ke laayā huuñ

kisī ne mujh se kahā thā hisāb de jaao

adab nahīñ hai ye aḳhbār ke tarāshe haiñ

ga.e zamānoñ koī kitāb de jaao

phir us ke baa'd nazāre nazar ko tarseñge

vo rahā hai ḳhizāñ ke gulāb de jaao

mirī nazar meñ rahe Dūbne manzar bhī

ġhurūb hotā huā āftāb de jaao

hazār safhoñ dīvān kaun paḌhtā hai

'bashīr-badr' koī intiḳhāb de jaao

udas raat hai koi to KHwab de jao

mere gilas mein thoDi sharab de jao

bahut se aur bhi ghar hain KHuda ki basti mein

faqir kab se khaDa hai jawab de jao

main zard patton pe shabnam saja ke laya hun

kisi ne mujh se kaha tha hisab de jao

adab nahin hai ye aKHbar ke tarashe hain

gae zamanon ki koi kitab de jao

phir us ke ba'd nazare nazar ko tarsenge

wo ja raha hai KHizan ke gulab de jao

meri nazar mein rahe Dubne ka manzar bhi

ghurub hota hua aaftab de jao

hazar safhon ka diwan kaun paDhta hai

'bashir-badr' ka koi intiKHab de jao

Source :
  • Book : Aamad (Pg. 101)
  • Author : Bashir Badar
  • Publication : M.R. Publications (2009)
  • Edition : 2009

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now