ek dafa marham laga kar dekhna
ik daf'a marham lagā kar dekhnā
mujh ko yuuñ hī muskurā kar dekhnā
jaan ko apnī luTā kar dekhnā
tum kabhī dil ko jalā kar dekhnā
ik dafa' tum aa ke jā kar dekhnā
ik dafa' tum jā ke aa kar dekhnā
aañkh dikhlānā kabhī to taish meñ
aur kabhī palkeñ jhukā kar dekhnā
maiñ vajūd-e-zāt meñ uljhā huā
kis tarah zinda huuñ aa kar dekhnā
aap sachche aap kī bāteñ kharī
chhoḌiye kyā aazmā kar dekhnā
ek daf'a marham laga kar dekhna
mujh ko yun hi muskura kar dekhna
jaan ko apni luTa kar dekhna
tum kabhi dil ko jala kar dekhna
ek dafa' tum aa ke ja kar dekhna
ek dafa' tum ja ke aa kar dekhna
aankh dikhlana kabhi to taish mein
aur kabhi palken jhuka kar dekhna
main wajud-e-zat mein uljha hua
kis tarah zinda hun aa kar dekhna
aap sachche aap ki baaten khari
chhoDiye kya aazma kar dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.