ik raat maiñ so nahīñ sakā thā
aur ḳhvāb bhī dekhnā paḌā thā
dil itnā kyuuñ dhaḌak rahā hai
maiñ kis kī nazar meñ aa gayā thā
jaisā bhī ġhalat sahī maiñ huuñ, huuñ
jaisā bhī ġhalat sahī maiñ thaa, thā
kamre meñ aag lag ga.ī thī
dil jab kisī dhyān meñ lagā thā
vaisā hī ḳharāb shaḳhs huuñ maiñ
jaisā koī chhoḌ kar gayā thā
dil kī masnad pe baiTh kar ishq
mujh aise ko sañvārtā thā
ek raat main so nahin saka tha
aur KHwab bhi dekhna paDa tha
dil itna kyun dhaDak raha hai
main kis ki nazar mein aa gaya tha
jaisa bhi ghalat sahi main hun, hun
jaisa bhi ghalat sahi main tha, tha
kamre mein aag lag gai thi
dil jab kisi dhyan mein laga tha
waisa hi KHarab shaKHs hun main
jaisa koi chhoD kar gaya tha
dil ki masnad pe baiTh kar ishq
mujh aise ko sanwarta tha
- Book : Aankh Bhar Tamasha Hai (Pg. 43)
- Author : Ahmad Ata
- Publication : Sanjh Publications (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.