ek KHala, ek la-intiha aur main
ik ḳhalā, ek lā-intihā aur maiñ
kitne tanhā haiñ merā ḳhudā aur maiñ
kitne nazdīk aur kis qadar ajnabī!!
mujh meñ mujh sā koī dūsrā aur maiñ
log bhī so ga.e, rog bhī so ga.e
jāgte haiñ mirā rat-jagā aur maiñ
raat aur raat meñ gūñjtī ek baat
ek ḳhauf, ik muñDer, ik diyā aur maiñ
shahr tārāj hai, jabr kā raaj hai
phir bhī sābit haiñ merī anā aur maiñ
tere mausam, tirī guftugū aur tū
merī āñkhoñ meñ ik an-kahā, aur maiñ
ab to is jañg kā faisla ho koī
laḌ rahe haiñ azal se havā aur maiñ
rañg, ḳhushbū, shafaq, chāñdnī, shā.erī
likh rahā thā maiñ, us ne kahā ''aur maiñ!''
us kī baat aur hai, varna ai 'iftiḳhār'
us ko ma.alūm hai, iltijā aur maiñ
ek KHala, ek la-intiha aur main
kitne tanha hain mera KHuda aur main
kitne nazdik aur kis qadar ajnabi!!
mujh mein mujh sa koi dusra aur main
log bhi so gae, rog bhi so gae
jagte hain mera rat-jaga aur main
raat aur raat mein gunjti ek baat
ek KHauf, ek munDer, ek diya aur main
shahr taraj hai, jabr ka raj hai
phir bhi sabit hain meri ana aur main
tere mausam, teri guftugu aur tu
meri aankhon mein ek an-kaha, aur main
ab to is jang ka faisla ho koi
laD rahe hain azal se hawa aur main
rang, KHushbu, shafaq, chandni, shaeri
likh raha tha main, us ne kaha aur main!
us ki baat aur hai, warna ai 'iftiKHar'
us ko malum hai, iltija aur main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.