Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

husn par zeba nahin ye lan-tarani aap ki

Lala Madhav Ram Jauhar

husn par zeba nahin ye lan-tarani aap ki

Lala Madhav Ram Jauhar

husn par zebā nahīñ ye lan-tarānī aap

chaar din chāñdnī hai naujavānī aap

ham bhī kuchh muñh se jo kah baiTheñ to phir kitnī rahe

dekhiye achchhī nahīñ ye bad-zabānī aap

kuchh samajh meñ haal ye aatā nahīñ hairān huuñ

aaj hai kaisī ye mujh par mehrbānī aap

baaz aa.e ham ye apnā-āp chhallā lījiye

har kisī ke haath meñ hai ab nishānī aap

raah meñ bhī dekh kar muñh pher lete haiñ huzūr

aaj kal hai kis qadar nā-mehrbānī aap

do ghaḌī ik rañg par qaa.em nahīñ husn-e-shabāb

kyā musavvir khīñche tasvīr-e-javānī aap

āb-e-haivāñ hai kahīñ zahr-e-halāhal hai kahīñ

talḳh-goī aap shīrīñ-zabānī aap

ḳhvāb meñ ham ko na aane dete to ham jānte

raqīboñ ne ye kaisī pāsbānī aap

apne marne nahīñ ġham rañj hai is baat

aaj uñglī se utartī hai nishānī aap

hāl-e-dil sunte nahīñ ye kah ke ḳhush kar dete haiñ

phir kabhī fursat meñ sun leñge kahānī aap

ham ko ye daulat kabhī miltī to ham bhī jānte

hogī jis ke vāste hogī javānī aap

husn par zeba nahin ye lan-tarani aap ki

chaar din ki chandni hai naujawani aap ki

hum bhi kuchh munh se jo kah baiThen to phir kitni rahe

dekhiye achchhi nahin ye bad-zabani aap ki

kuchh samajh mein haal ye aata nahin hairan hun

aaj hai kaisi ye mujh par mehrbani aap ki

baz aae hum ye apna-ap chhalla lijiye

har kisi ke hath mein hai ab nishani aap ki

rah mein bhi dekh kar munh pher lete hain huzur

aaj kal hai kis qadar na-mehrbani aap ki

do ghaDi ek rang par qaem nahin husn-e-shabab

kya musawwir khinche taswir-e-jawani aap ki

aab-e-haiwan hai kahin zahr-e-halahal hai kahin

talKH-goi aap ki shirin-zabani aap ki

KHwab mein hum ko na aane dete to hum jaante

ki raqibon ne ye kaisi pasbani aap ki

apne marne ka nahin gham ranj hai is baat ka

aaj ungli se utarti hai nishani aap ki

haal-e-dil sunte nahin ye kah ke KHush kar dete hain

phir kabhi fursat mein sun lenge kahani aap ki

hum ko ye daulat kabhi milti to hum bhi jaante

hogi jis ke waste hogi jawani aap ki

Source :
  • Book : Intekhab Kalam Lala M.R Jauhar (Pg. 55)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now