Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

husn mein aafat-e-jahan tu hai

Jaleel Manikpuri

husn mein aafat-e-jahan tu hai

Jaleel Manikpuri

MORE BYJaleel Manikpuri

    husn meñ āfat-e-jahāñ hai

    chaal meñ ḳhanjar-e-ravāñ hai

    donoñ zālim haiñ farq itnā hai

    āsmāñ piir hai javāñ hai

    be-kahe dil haal raushan hai

    ai ḳhamoshī mirī zabāñ hai

    apne ghar meñ ḳhayāl meñ dil meñ

    ek ho kar kahāñ kahāñ hai

    donoñ jānib se parda-dārī hai

    maiñ huuñ gumnām be-nishāñ hai

    sab se pyārī hai jaan duniyā meñ

    jaan se baḌh ke jān-e-jāñ hai

    aa.ine par nahīñ ye chashm-e-karam

    apnī sūrat qadr-dāñ hai

    kyā barābar joḌ hai ye 'jalīl'

    yaar nāzuk hai nā-tavāñ hai

    husn mein aafat-e-jahan tu hai

    chaal mein KHanjar-e-rawan tu hai

    donon zalim hain farq itna hai

    aasman pir hai jawan tu hai

    be-kahe dil ka haal raushan hai

    ai KHamoshi meri zaban tu hai

    apne ghar mein KHayal mein dil mein

    ek ho kar kahan kahan tu hai

    donon jaanib se parda-dari hai

    main hun gumnam be-nishan tu hai

    sab se pyari hai jaan duniya mein

    jaan se baDh ke jaan-e-jaan tu hai

    aaine par nahin ye chashm-e-karam

    apni surat ka qadr-dan tu hai

    kya barabar ka joD hai ye 'jalil'

    yar nazuk hai na-tawan tu hai

    Source :
    • Book : Kainat-e-Jalil Manakpuri (Pg. 214)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now