hota hai mehrban kahan par KHuda-e-ishq
hotā hai mehrbān kahāñ par ḳhudā-e-ishq
lagtī hai phir bhī shahr meñ khul ke sadā-e-ishq
nukta yahī azal se paḌhāyā gayā hameñ
havvā barā.e-husn hai aadam barā.e-ishq
duniyā hamāre haath meñ hai geñd kī tarah
ham kar rahe haiñ zindagī jab se barā.e ishq
baiThe haiñ misl-e-yār hue ḳhud ke rū-ba-rū
miltī nahīñ har ek ko aisī atā-e-ishq
detā huuñ saare shahr meñ bas ek hī sadā
darvesh degā ḳhair meñ sab ko dua.a-e-ishq
muusā ko samt-e-tūr jo ik mauj le ga.ī
vo intihā-e-shauq thī yā ibtidā-e-ishq
duniyā kī justujū to huī ḳhatm kab kī dost
murshid hamārā ishq hai ham haiñ gadā-e-ishq
hota hai mehrban kahan par KHuda-e-ishq
lagti hai phir bhi shahr mein khul ke sada-e-ishq
nukta yahi azal se paDhaya gaya hamein
hawwa barae-husn hai aadam barae-ishq
duniya hamare hath mein hai gend ki tarah
hum kar rahe hain zindagi jab se barae ishq
baiThe hain misl-e-yar hue KHud ke ru-ba-ru
milti nahin har ek ko aisi ata-e-ishq
deta hun sare shahr mein bas ek hi sada
darwesh dega KHair mein sab ko dua-e-ishq
musa ko samt-e-tur jo ek mauj le gai
wo intiha-e-shauq thi ya ibtida-e-ishq
duniya ki justuju to hui KHatm kab ki dost
murshid hamara ishq hai hum hain gada-e-ishq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.