honTon pe kabhi un ke mera nam hi aae
hoñToñ pe kabhī un ke mirā naam hī aa.e
aa.e to sahī bar-sar-e-ilzām hī aa.e
hairān haiñ lab-basta haiñ dil-gīr haiñ ġhunche
ḳhushbū kī zabānī tirā paiġhām hī aa.e
lamhāt-e-masarrat haiñ tasavvur se gurezāñ
yaad aa.e haiñ jab bhī ġham-o-ālām hī aa.e
tāroñ se sajā leñge rah-e-shahr-e-tamannā
maqdūr nahīñ sub.h chalo shaam hī aa.e
kyā raah badalne kā gila ham-safaroñ se
jis rah se chale tere dar-o-bām hī aa.e
thak-hār ke baiThe haiñ sar-e-kū-e-tamannā
kaam aa.e to phir jazba-e-nākām hī aa.e
baaqī na rahe saakh 'adā' dasht-e-junūñ kī
dil meñ agar andesha-e-anjām hī aa.e
honTon pe kabhi un ke mera nam hi aae
aae to sahi bar-sar-e-ilzam hi aae
hairan hain lab-basta hain dil-gir hain ghunche
KHushbu ki zabani tera paigham hi aae
lamhat-e-masarrat hain tasawwur se gurezan
yaad aae hain jab bhi gham-o-alam hi aae
taron se saja lenge rah-e-shahr-e-tamanna
maqdur nahin subh chalo sham hi aae
kya rah badalne ka gila ham-safaron se
jis rah se chale tere dar-o-baam hi aae
thak-haar ke baiThe hain sar-e-ku-e-tamanna
kaam aae to phir jazba-e-nakaam hi aae
baqi na rahe sakh 'ada' dasht-e-junun ki
dil mein agar andesha-e-anjam hi aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.