din guzar gaya etibar mein
din guzar gayā e'tibār meñ
raat kaT ga.ī intizār meñ
vo mazā kahāñ vasl-e-yār meñ
lutf jo milā intizār meñ
un kī ik nazar kaam kar ga.ī
hosh ab kahāñ hoshyār meñ
mere qabze meñ kā.ināt hai
maiñ huuñ aap ke iḳhtiyār meñ
aañkh to uThī phuul kī taraf
dil ulajh gayā husn-e-ḳhār meñ
tujh se kyā kaheñ kitne ġham sahe
ham ne be-vafā tere pyaar meñ
fikr-e-āshiyāñ har ḳhizāñ meñ kī
āshiyāñ jalā har bahār meñ
kis tarah ye ġham bhuul jaa.eñ ham
vo judā huā is bahār meñ
din guzar gaya e'tibar mein
raat kaT gai intizar mein
wo maza kahan wasl-e-yar mein
lutf jo mila intizar mein
un ki ek nazar kaam kar gai
hosh ab kahan hoshyar mein
mere qabze mein kainat hai
main hun aap ke iKHtiyar mein
aankh to uThi phul ki taraf
dil ulajh gaya husn-e-KHar mein
tujh se kya kahen kitne gham sahe
hum ne be-wafa tere pyar mein
fikr-e-ashiyan har KHizan mein ki
aashiyan jala har bahaar mein
kis tarah ye gham bhul jaen hum
wo juda hua is bahaar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.