haweliyon mein meri tarbiyat nahin hoti
haveliyoñ meñ mirī tarbiyat nahīñ hotī
to aaj sar pe Tapakne ko chhat nahīñ hotī
hamāre ghar kā pata pūchhne se kyā hāsil
udāsiyoñ kī koī shahriyat nahīñ hotī
charāġh ghar kā ho mahfil kā ho ki mandir kā
havā ke paas koī maslahat nahīñ hotī
hameñ jo ḳhud meñ simaTne kā fan nahīñ aatā
to aaj aisī tirī saltanat nahīñ hotī
'vasīm' shahr meñ sachchā.iyoñ ke lab hote
to aaj ḳhabroñ meñ sab ḳhairiyat nahīñ hotī
haweliyon mein meri tarbiyat nahin hoti
to aaj sar pe Tapakne ko chhat nahin hoti
hamare ghar ka pata puchhne se kya hasil
udasiyon ki koi shahriyat nahin hoti
charagh ghar ka ho mahfil ka ho ki mandir ka
hawa ke pas koi maslahat nahin hoti
hamein jo KHud mein simaTne ka fan nahin aata
to aaj aisi teri saltanat nahin hoti
'wasim' shahr mein sachchaiyon ke lab hote
to aaj KHabron mein sab KHairiyat nahin hoti
- Book : Mera Kiya (Pg. 114)
- Author : Waseem Barelvi
- Publication : Maktaba Jamia Ltd (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.