hawa ki andhi panahon mein mat uchhaal mujhe
havā kī andhī panāhoñ meñ mat uchhāl mujhe
zamīñ hisār-e-kashish se na tū nikāl mujhe
sivā-e-ranj-e-nadāmat na kuchh milā tum ko
maiñ kah rahā thā banāo na tum misāl mujhe
shikast-e-dil ne 'ajab ġham ko sūrateñ dī haiñ
rafāqatoñ kī ghaḌī hai zarā sañbhāl mujhe
maiñ ḳhvāb ḳhvāb jazīroñ kī sair ko niklūñ
uThā ke parda-e-shab hairatoñ meñ Daal mujhe
kabhī kabhī use dil se 'azīz-tar jaanā
ye sar jo dosh pe lagtā rahā vabāl mujhe
zamīn maiñ tirī chāhat meñ zer-e-dām aayā
asiir kar nahīñ paayā thā koī jaal mujhe
bayāz-e-vaqt pe us ne likhā hai naam mirā
yaqīn kar ki na hogā kabhī zavāl mujhe
suḳhan ke kuchh to guhar maiñ bhī nazr kartā chalūñ
'ajab nahīñ ki kareñ yaad maah o saal mujhe
hawa ki andhi panahon mein mat uchhaal mujhe
zamin hisar-e-kashish se na tu nikal mujhe
siwa-e-ranj-e-nadamat na kuchh mila tum ko
main kah raha tha banao na tum misal mujhe
shikast-e-dil ne 'ajab gham ko suraten di hain
rafaqaton ki ghaDi hai zara sanbhaal mujhe
main KHwab KHwab jaziron ki sair ko niklun
uTha ke parda-e-shab hairaton mein Dal mujhe
kabhi kabhi use dil se 'aziz-tar jaana
ye sar jo dosh pe lagta raha wabaal mujhe
zamin main teri chahat mein zer-e-dam aaya
asir kar nahin paya tha koi jal mujhe
bayaz-e-waqt pe us ne likha hai nam mera
yaqin kar ki na hoga kabhi zawal mujhe
suKHan ke kuchh to guhar main bhi nazr karta chalun
'ajab nahin ki karen yaad mah o sal mujhe
- Book : Sang-ge-Sada (Pg. 298)
- Author : Zubair Razvi
- Publication : Zehne Jadid, New Delhi (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.