hargiz na mere mahram-e-hamraaz hue tum
hargiz na mere mahram-e-hamraaz hue tum
Mirza Mohammad Taqi Hawas
MORE BYMirza Mohammad Taqi Hawas
hargiz na mire mahram-e-hamrāz hue tum
ā.īne meñ apne hī nazar-bāz hue tum
shikva na mujhe ġhair se ne yaar kī ḳhū se
dushman mire ai tāla-e-nā-sāz hue tum
ḳhamyāza-kashān-e-mai ulfat kī ban aa.ī
mai pī ke jo kal mast-e-sar-andāz hue tum
maiñ tum ko na kahtā thā ki ā.īna na dekho
āḳhir hadaf-e-chashm-e-fusūñ-sāz hue tum
dukh pahuñche jo kuchh tum ko tumhārī ye sazā hai
kyuuñ us ke 'havas' āshiq-e-jāñ-bāz hue tum
hargiz na mere mahram-e-hamraaz hue tum
aaine mein apne hi nazar-baz hue tum
shikwa na mujhe ghair se ne yar ki KHu se
dushman mere ai tala-e-na-saz hue tum
KHamyaza-kashan-e-mai ulfat ki ban aai
mai pi ke jo kal mast-e-sar-andaz hue tum
main tum ko na kahta tha ki aaina na dekho
aaKHir hadaf-e-chashm-e-fusun-saz hue tum
dukh pahunche jo kuchh tum ko tumhaari ye saza hai
kyun us ke 'hawas' aashiq-e-jaan-baz hue tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.