Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har lamha agar gurez-pa hai

Ahmad Nadeem Qasmi

har lamha agar gurez-pa hai

Ahmad Nadeem Qasmi

har lamha agar gurez-pā hai

kyuuñ mire dil meñ bas gayā hai

chilman meñ gulāb sambhal rahā hai

ye hai ki shoḳhi-e-sabā hai

jhuktī nazreñ batā rahī haiñ

mere liye bhī sochtā hai

maiñ tere kahe se chup huuñ lekin

chup bhī bayān-e-mudda.ā hai

har des apnī apnī bolī

sahrā sukūt bhī sadā hai

ik umr ke baa'd muskurā kar

ne to mujhe rulā diyā hai

us vaqt hisāb kyā duuñ

jo tere baġhair kaT gayā hai

maazī sunā.ūñ kyā kahānī

lamha lamha guzar gayā hai

mat maañg duā.eñ jab mohabbat

terā merā muāmla hai

ab tujh se jo rabt hai to itnā

terā ḳhudā mirā ḳhudā hai

rone ko ab ashk bhī nahīñ haiñ

ishq ko sabr aa gayā hai

ab kis talāsh meñ haiñ jhoñke

maiñ ne to diyā bujhā diyā hai

kuchh khel nahīñ hai ishq karnā

ye zindagī bhar rat-jagā hai

har lamha agar gurez-pa hai

tu kyun mere dil mein bas gaya hai

chilman mein gulab sambhal raha hai

ye tu hai ki shoKHi-e-saba hai

jhukti nazren bata rahi hain

mere liye tu bhi sochta hai

main tere kahe se chup hun lekin

chup bhi tu bayan-e-muddaa hai

har des ki apni apni boli

sahra ka sukut bhi sada hai

ek umr ke ba'd muskura kar

tu ne to mujhe rula diya hai

us waqt ka hisab kya dun

jo tere baghair kaT gaya hai

mazi ki sunaun kya kahani

lamha lamha guzar gaya hai

mat mang duaen jab mohabbat

tera mera muamla hai

ab tujh se jo rabt hai to itna

tera hi KHuda mera KHuda hai

rone ko ab ashk bhi nahin hain

ya ishq ko sabr aa gaya hai

ab kis ki talash mein hain jhonke

main ne to diya bujha diya hai

kuchh khel nahin hai ishq karna

ye zindagi bhar ka rat-jaga hai

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Ahmad Nadeem Qasmi

Ahmad Nadeem Qasmi

Ahmad Nadeem Qasmi

Ahmad Nadeem Qasmi

RECITATIONS

Ahmad Nadeem Qasmi

Ahmad Nadeem Qasmi,

00:00/00:00
Ahmad Nadeem Qasmi

har lamha agar gurez-pa hai Ahmad Nadeem Qasmi

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now