har fikr se begana-o-anjaan bana de
har fikr se begāna-o-anjān banā de
bachche kī tarah phir mujhe nādān banā de
sultāñ hai banānā jise sultān banā de
mujh ko to dar apne kā tū darbān banā de
jis vaqt zarūrat ho maiñ ḳhud jhāñk ke paḌh luuñ
dil ko hī mire gītā-o-qur.ān banā de
mujh ko nahīñ ḳhvāhish ki farishta banūñ maulā
is banda-e-nāchīz ko insān banā de
hindū ho koī chāhe musalmān ho koī
har shaḳhs ko tū sāhib-e-īmān banā de
mar-mar ke ji.eñ kis liye bande tire maulā
jiinā bhī zarā maut sā āsān banā de
bande ko karā bande kī azmat kā tū ehsās
phir se ise maḳhlūq kī tū shaan banā de
shaitān kī kar ḳhatm tū duniyā se hukūmat
dhartī ko hī jannat mire bhagvān banā de
har fikr se begana-o-anjaan bana de
bachche ki tarah phir mujhe nadan bana de
sultan hai banana jise sultan bana de
mujh ko to dar apne ka tu darban bana de
jis waqt zarurat ho main KHud jhank ke paDh lun
dil ko hi mere gita-o-quran bana de
mujh ko nahin KHwahish ki farishta banun maula
is banda-e-nachiz ko insan bana de
hindu ho koi chahe musalman ho koi
har shaKHs ko tu sahib-e-iman bana de
mar-mar ke jien kis liye bande tere maula
jina bhi zara maut sa aasan bana de
bande ko kara bande ki azmat ka tu ehsas
phir se ise maKHluq ki tu shan bana de
shaitan ki kar KHatm tu duniya se hukumat
dharti ko hi jannat mere bhagwan bana de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.