har be-zabāñ ko sho.ala-navā kah liyā karo
yaaro sukūt hī ko sadā kah liyā karo
ḳhud ko fareb do ki na ho talḳh zindagī
har sañg-dil ko jān-e-vafā kah liyā karo
gar chāhte ho ḳhush raheñ kuchh bandagān-e-ḳhās
jitne sanam haiñ un ko ḳhudā kah liyā karo
yaaro ye daur zo.af-e-basārat kā daur hai
āñdhī uThe to us ko ghaTā kah liyā karo
insān kā agar qad-o-qāmat na baḌh sake
tum is ko naqs-e-āb-o-havā kah liyā karo
apne liye ab ek hī rāh-e-najāt hai
har zulm ko razā-e-ḳhudā kah liyā karo
le de ke ab yahī hai nishān-e-ziyā 'qatīl'
jab dil jale to is ko diyā kah liyā karo
har be-zaban ko shoala-nawa kah liya karo
yaro sukut hi ko sada kah liya karo
KHud ko fareb do ki na ho talKH zindagi
har sang-dil ko jaan-e-wafa kah liya karo
gar chahte ho KHush rahen kuchh bandagan-e-KHas
jitne sanam hain un ko KHuda kah liya karo
yaro ye daur zoaf-e-basarat ka daur hai
aandhi uThe to us ko ghaTa kah liya karo
insan ka agar qad-o-qamat na baDh sake
tum is ko naqs-e-ab-o-hawa kah liya karo
apne liye ab ek hi rah-e-najat hai
har zulm ko raza-e-KHuda kah liya karo
le de ke ab yahi hai nishan-e-ziya 'qatil'
jab dil jale to is ko diya kah liya karo
Source :
- Book : kalam-e-qateel shifai (Pg. 127)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.