har aankh ka hasil duri hai
har aañkh kā hāsil duurī hai
har manzar ik mastūrī hai
jo suud o ziyāñ kī fikr kare
vo ishq nahīñ mazdūrī hai
sab dekhtī haiñ sab jheltī haiñ
ye āñkhoñ kī majbūrī hai
is sāhil se us sāhil tak
kyā kahiye kitnī duurī hai
ye qurb hubāb o aab kā hai
ye vasl nahīñ mahjūrī hai
maiñ tujh ko kitnā chāhtā huuñ
ye kahnā ġhair-zarūrī hai
har aankh ka hasil duri hai
har manzar ek masturi hai
jo sud o ziyan ki fikr kare
wo ishq nahin mazduri hai
sab dekhti hain sab jhelti hain
ye aankhon ki majburi hai
is sahil se us sahil tak
kya kahiye kitni duri hai
ye qurb hubab o aab ka hai
ye wasl nahin mahjuri hai
main tujh ko kitna chahta hun
ye kahna ghair-zaruri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.