har aan jalwa nai aan se hai aane ka
har aan jalwa nai aan se hai aane ka
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
MORE BYAbdul Rahman Ehsan Dehlvi
har aan jalva na.ī aan se hai aane kā
chalan ye chalte ho āshiq kī jaan jaane kā
qasam qadam kī tire jab talak hai dam meñ dam
maiñ paañv par se tire sar nahīñ uThāne kā
hamārī jaan pe girtī hai barq-e-ġham zālim
tujhe to sahl sā hai shaġhl muskurāne kā
qasam ḳhudā kī maiñ kuchh khā ke so rahūñgā sanam
jo saath apne nahīñ mujh ko tū sulāne kā
nasīb us ke sharāb-e-bahisht hove mudām
huā hai jo koī mūjid sharāb-ḳhāne kā
bahut se ḳhūn-ḳharābe macheñge ḳhāna-ḳharāb
yahī hai rañg agar tere paan khāne kā
hamārī chhātī pe phirtā hai saañp yaañ 'ehsāñ'
vahāñ hai shaġhl use zulf ke banāne kā
har aan jalwa nai aan se hai aane ka
chalan ye chalte ho aashiq ki jaan jaane ka
qasam qadam ki tere jab talak hai dam mein dam
main panw par se tere sar nahin uThane ka
hamari jaan pe girti hai barq-e-gham zalim
tujhe to sahl sa hai shaghl muskurane ka
qasam KHuda ki main kuchh kha ke so rahunga sanam
jo sath apne nahin mujh ko tu sulane ka
nasib us ke sharab-e-bahisht howe mudam
hua hai jo koi mujid sharab-KHane ka
bahut se KHun-KHarabe machenge KHana-KHarab
yahi hai rang agar tere pan khane ka
hamari chhati pe phirta hai sanp yan 'ehsan'
wahan hai shaghl use zulf ke banane ka
- Kulliyat-e-Ehsan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.