Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hangam-e-naza mahw hun tere KHayal ka

Haidar Ali Aatish

hangam-e-naza mahw hun tere KHayal ka

Haidar Ali Aatish

hañgām-e-naza.a mahv huuñ tere ḳhayāl

mushtāq huuñ farishta-e-sāhib-jamāl

pairāhan us javāñ ne jo pahnā hai chhāl

miltā nahīñ chaman meñ mizāj ik nihāl

ālūda be-gunāhoñ ke ḳhuuñ se hai teġh-e-charḳh

nā-fahmoñ ko gumāñ hai shafaq meñ hilāl

shāna baneñge ba.ad-e-fanā apne ustuḳhāñ

uqda khulegā gesuoñ ke baal baal

biinī suhail mushtarī o zohra gosh haiñ

qutub-e-shumāl-e-husn hai til tere gaal

kis kis bashar ko laa.ī hai duniyā fareb meñ

kyā kyā javāñ murīd hai us pīr-zāl

laatī hai vaañ qazā-o-qadar murġh-e-rūh ko

paanī jahāñ qafas hai daana hai jaal

amrad-parast hai to gulistāñ sair kar

har naunihāl rashk hai yaañ ḳhurd-sāl

ik dam maiñ milūñgā azīzān-e-rafta se

kyā arsa hai zamāna-e-māzī se haal

surḳh o safed rañg se hotā hai āshkār

vo jism-e-nāznīñ hai abiir o gulāl

ai dil qazā na aa.e idhar TikTikī na bāñdh

golī sāmnā hai ye nazzāra ḳhaal

bosa diye se husn meñ hogī kamī na yaar

hotā nahīñ zakāt se nuqsān maal

vo chashm nahīñ dil-e-vahshī fikr meñ

har turk ko hai shauq shikār-e-ġhazāl

zanjīr o tauq har baras aa kar pinhā ga.ī

dīvāna huuñ maiñ bād-e-bahārī chaal

roz-e-siyāh hijr meñ mere jale charāġh

parvānoñ ko nasīb huā din visāl

rone ke badle haal par apne hañsā kiye

parda huā na faash hamāre malāl

dikhlāyā be-naqāb jise banda ho gayā

vo rū-e-sāda-naqsh hai sāhib kamāl

kartī hai yaañ zabān-e-kamar yaar meñ kalām

ma.adūm hai javāb hamāre savāl

'ātish' lahad se uTThūñgā kahtā ye roz-e-hashr

mushtāq huuñ maiñ yaar ke husn-o-jamāl

hangam-e-naza mahw hun tere KHayal ka

mushtaq hun farishta-e-sahib-jamal ka

pairahan us jawan ne jo pahna hai chhaal ka

milta nahin chaman mein mizaj ek nihaal ka

aaluda be-gunahon ke KHun se hai tegh-e-charKH

na-fahmon ko guman hai shafaq mein hilal ka

shana banenge baad-e-fana apne ustuKHan

uqda khulega gesuon ke baal baal ka

bini suhail mushtari o zohra gosh hain

qutub-e-shumal-e-husn hai til tere gal ka

kis kis bashar ko lai hai duniya fareb mein

kya kya jawan murid hai us pir-zal ka

lati hai wan qaza-o-qadar murgh-e-ruh ko

pani jahan qafas ka hai dana hai jal ka

amrad-parast hai to gulistan ki sair kar

har naunihaal rashk hai yan KHurd-sal ka

ek dam main ja milunga azizan-e-rafta se

kya arsa hai zamana-e-mazi se haal ka

surKH o safed rang se hota hai aashkar

wo jism-e-naznin hai abir o gulal ka

ai dil qaza na aae idhar TikTiki na bandh

goli ka samna hai ye nazzara KHal ka

bosa diye se husn mein hogi kami na yar

hota nahin zakat se nuqsan mal ka

wo chashm hi nahin dil-e-wahshi ki fikr mein

har turk ko hai shauq shikar-e-ghazal ka

zanjir o tauq har baras aa kar pinha gai

diwana hun main baad-e-bahaari ki chaal ka

roz-e-siyah hijr mein mere jale charagh

parwanon ko nasib hua din visal ka

rone ke badle haal par apne hansa kiye

parda hua na fash hamare malal ka

dikhlaya be-naqab jise banda ho gaya

wo ru-e-sada-naqsh hai sahib kamal ka

karti hai yan zaban-e-kamar yar mein kalam

madum hai jawab hamare sawal ka

'atish' lahad se uTThunga kahta ye roz-e-hashr

mushtaq hun main yar ke husn-o-jamal ka

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now