Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamara azm-e-safar kab kidhar ka ho jae

Waseem Barelvi

hamara azm-e-safar kab kidhar ka ho jae

Waseem Barelvi

hamārā azm-e-safar kab kidhar ho jaa.e

ye vo nahīñ jo kisī rahguzar ho jaa.e

usī ko jiine haq hai jo is zamāne meñ

idhar lagtā rahe aur udhar ho jaa.e

khulī havāoñ meñ uḌnā to us fitrat hai

parinda kyuuñ kisī shāḳh-e-shajar ho jaa.e

maiñ laakh chāhūñ magar ho to ye nahīñ saktā

ki terā chehrā mirī nazar ho jaa.e

mirā na hone se kyā farq us ko paḌnā hai

pata chale jo kisī kam-nazar ho jaa.e

'vasīm' sub.h tanhā.i-e-safar socho

mushā.era to chalo raat bhar ho jaa.e

hamara azm-e-safar kab kidhar ka ho jae

ye wo nahin jo kisi rahguzar ka ho jae

usi ko jine ka haq hai jo is zamane mein

idhar ka lagta rahe aur udhar ka ho jae

khuli hawaon mein uDna to us ki fitrat hai

parinda kyun kisi shaKH-e-shajar ka ho jae

main lakh chahun magar ho to ye nahin sakta

ki tera chehra meri hi nazar ka ho jae

mera na hone se kya farq us ko paDna hai

pata chale jo kisi kam-nazar ka ho jae

'wasim' subh ki tanhai-e-safar socho

mushaera to chalo raat bhar ka ho jae

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now