humne jo qasidon ko munasib nahin samjha
ham ne jo qasīdoñ ko munāsib nahīñ samjhā
shah ne bhī hameñ apnā musāhib nahīñ samjhā
kāñTe bhī kuchh is rut meñ tarah-dār nahīñ the
kuchh ham ne ulajhnā bhī munāsib nahīñ samjhā
ḳhud qātil-e-aqdār-e-sharāfat hai zamāna
ilzām hai maiñ hifz-e-marātib nahīñ samjhā
ham-asroñ meñ ye chheḌ chalī aa.ī hai 'az.har'
yaañ 'zauq' ne 'ġhālib' ko bhī ġhālib nahīñ samjhā
hum ne jo qasidon ko munasib nahin samjha
shah ne bhi hamein apna musahib nahin samjha
kanTe bhi kuchh is rut mein tarah-dar nahin the
kuchh hum ne ulajhna bhi munasib nahin samjha
KHud qatil-e-aqdar-e-sharafat hai zamana
ilzam hai main hifz-e-maraatib nahin samjha
ham-asron mein ye chheD chali aai hai 'azhar'
yan 'zauq' ne 'ghaalib' ko bhi ghaalib nahin samjha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.