Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai mashq-e-suKHan jari chakki ki mashaqqat bhi

Hasrat Mohani

hai mashq-e-suKHan jari chakki ki mashaqqat bhi

Hasrat Mohani

MORE BYHasrat Mohani

    Interesting Fact

    Hasrat composed it while he was in prison. Last couplet (sher) includes the name of nine Urdu poets

    hai mashq-e-suḳhan jaarī chakkī mashaqqat bhī

    ik turfa tamāshā hai 'hasrat' tabī.at bhī

    jo chāho sazā de lo tum aur bhī khul khelo

    par ham se qasam le lo ho jo shikāyat bhī

    dushvār hai rindoñ par inkār-e-karam yaksar

    ai sāqi-e-jāñ-parvar kuchh lutf-o-ināyat bhī

    dil bas-ki hai dīvāna us husn-e-gulābī

    rañgīñ hai usī se shāyad ġham-e-furqat bhī

    ḳhud ishq gustāḳhī sab tujh ko sikhā degī

    ai husn-e-hayā-parvar shoḳhī bhī sharārat bhī

    barsāt ke aate tauba na rahī baaqī

    bādal jo nazar aa.e badlī merī nīyat bhī

    ushshāq ke dil nāzuk us shoḳh ḳhū nāzuk

    nāzuk isī nisbat se hai kār-e-mohabbat bhī

    rakhte haiñ mire dil par kyuuñ tohmat-e-betābī

    yaañ nāla-e-muztar jab mujh meñ ho quvvat bhī

    ai shauq bebākī vo kyā terī ḳhvāhish thī

    jis par unheñ ġhussa hai inkār bhī hairat bhī

    har-chand hai dil shaidā hurriyat-e-kāmil

    manzūr-e-duā lekin hai qaid-e-mohabbat bhī

    haiñ 'shād' o 'safī' shā.ir 'shauq' o 'vafā' 'hasrat'

    phir 'zāmin' o 'mahshar' haiñ 'iqbāl' bhī 'vahshat' bhī

    hai mashq-e-suKHan jari chakki ki mashaqqat bhi

    ek turfa tamasha hai 'hasrat' ki tabiat bhi

    jo chaho saza de lo tum aur bhi khul khelo

    par hum se qasam le lo ki ho jo shikayat bhi

    dushwar hai rindon par inkar-e-karam yaksar

    ai saqi-e-jaan-parwar kuchh lutf-o-inayat bhi

    dil bas-ki hai diwana us husn-e-gulabi ka

    rangin hai usi ru se shayad gham-e-furqat bhi

    KHud ishq ki gustaKHi sab tujh ko sikha degi

    ai husn-e-haya-parwar shoKHi bhi shararat bhi

    barsat ke aate hi tauba na rahi baqi

    baadal jo nazar aae badli meri niyat bhi

    ushshaq ke dil nazuk us shoKH ki KHu nazuk

    nazuk isi nisbat se hai kar-e-mohabbat bhi

    rakhte hain mere dil par kyun tohmat-e-betabi

    yan nala-e-muztar ki jab mujh mein ho quwwat bhi

    ai shauq ki bebaki wo kya teri KHwahish thi

    jis par unhen ghussa hai inkar bhi hairat bhi

    har-chand hai dil shaida hurriyat-e-kaamil ka

    manzur-e-dua lekin hai qaid-e-mohabbat bhi

    hain 'shad' o 'safi' shair ya 'shauq' o 'wafa' 'hasrat'

    phir 'zamin' o 'mahshar' hain 'iqbaal' bhi 'wahshat' bhi

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    hai mashq-e-suKHan jari chakki ki mashaqqat bhi Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now