Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai ghazal mir ye shifai ki

Meer Taqi Meer

hai ghazal mir ye shifai ki

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    hai ġhazal 'mīr' ye 'shifā.ī'

    ham ne bhī tab.a-āzmā.ī

    us ke īfā-e-ahd tak na jiye

    umr ne ham se bevafā.ī

    vasl ke din aarzū rahī

    shab na āḳhir huī judā.ī

    isī taqrīb us galī meñ rahe

    minnateñ haiñ shikasta-pā.ī

    dil meñ us shoḳh ke na tāsīr

    aah ne aah nā-rasā.ī

    kāsa-e-chashm le ke juuñ nargis

    ham ne dīdār gadā.ī

    zor o zar kuchh na thā to bār-e-'mīr'

    kis bharose par āshnā.ī

    hai ghazal 'mir' ye 'shifai' ki

    hum ne bhi taba-azmai ki

    us ke ifa-e-ahd tak na jiye

    umr ne hum se bewafai ki

    wasl ke din ki aarzu hi rahi

    shab na aaKHir hui judai ki

    isi taqrib us gali mein rahe

    minnaten hain shikasta-pai ki

    dil mein us shoKH ke na ki tasir

    aah ne aah na-rasai ki

    kasa-e-chashm le ke jun nargis

    hum ne didar ki gadai ki

    zor o zar kuchh na tha to bar-e-'mir'

    kis bharose par aashnai ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now