hadse zist ki tauqir baDha dete hain
hādse ziist kī tauqīr baḌhā dete haiñ
ai ġham-e-yār tujhe ham to duā dete haiñ
tere iḳhlās ke afsūñ tire va.adoñ ke tilism
TuuT jaate haiñ to kuchh aur mazā dete haiñ
kū-e-mahbūb se chup-chāp guzarne vaale
arsa-e-zīst meñ ik hashr uThā dete haiñ
haañ yahī ḳhāk-basar soḳhta-sāmāñ ai dost
tere qadmoñ meñ sitāroñ ko jhukā dete haiñ
sīnā-chākān-e-mohabbat ko ḳhabar hai ki nahīñ
shahr-e-ḳhūbāñ ke dar-o-bām sadā dete haiñ
ham ne us ke lab o ruḳhsār ko chhū kar dekhā
hausle aag ko gulzār banā dete haiñ
hadse zist ki tauqir baDha dete hain
ai gham-e-yar tujhe hum to dua dete hain
tere iKHlas ke afsun tere wadon ke tilism
TuT jate hain to kuchh aur maza dete hain
ku-e-mahbub se chup-chap guzarne wale
arsa-e-zist mein ek hashr uTha dete hain
han yahi KHak-basar soKHta-saman ai dost
tere qadmon mein sitaron ko jhuka dete hain
sina-chaakan-e-mohabbat ko KHabar hai ki nahin
shahr-e-KHuban ke dar-o-baam sada dete hain
hum ne us ke lab o ruKHsar ko chhu kar dekha
hausle aag ko gulzar bana dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.