Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gulab hath mein ho aankh mein sitara ho

Parveen Shakir

gulab hath mein ho aankh mein sitara ho

Parveen Shakir

MORE BYParveen Shakir

    gulāb haath meñ ho aañkh meñ sitāra ho

    koī vajūd mohabbat isti.āra ho

    maiñ gahre paanī is rau ke saath bahtī rahūñ

    jazīra ho ki muqābil koī kināra ho

    kabhī-kabhār use dekh leñ kahīñ mil leñ

    ye kab kahā thā ki vo ḳhush-badan hamārā ho

    qusūr ho to hamāre hisāb meñ likh jaa.e

    mohabbatoñ meñ jo ehsān ho tumhārā ho

    ye itnī raat ga.e kaun dastakeñ degā

    kahīñ havā us ne na ruup dhārā ho

    ufuq to kyā hai dar-e-kahkashāñ bhī chhū aa.eñ

    musāfiroñ ko agar chāñd ishārā ho

    maiñ apne hisse ke sukh jis ke naam kar Dālūñ

    koī to ho jo mujhe is tarah pyārā ho

    agar vajūd meñ āhañg hai to vasl bhī hai

    vo chāhe nazm TukḌā ki nasr-pāra ho

    gulab hath mein ho aankh mein sitara ho

    koi wajud mohabbat ka istiara ho

    main gahre pani ki is rau ke sath bahti rahun

    jazira ho ki muqabil koi kinara ho

    kabhi-kabhaar use dekh len kahin mil len

    ye kab kaha tha ki wo KHush-badan hamara ho

    qusur ho to hamare hisab mein likh jae

    mohabbaton mein jo ehsan ho tumhaara ho

    ye itni raat gae kaun dastaken dega

    kahin hawa ka hi us ne na rup dhaara ho

    ufuq to kya hai dar-e-kahkashan bhi chhu aaen

    musafiron ko agar chand ka ishaara ho

    main apne hisse ke sukh jis ke nam kar Dalun

    koi to ho jo mujhe is tarah ka pyara ho

    agar wajud mein aahang hai to wasl bhi hai

    wo chahe nazm ka TukDa ki nasr-para ho

    RECITATIONS

    Sabiha Khan

    Sabiha Khan,

    Sabiha Khan

    gulab hath mein ho aankh mein sitara ho Sabiha Khan

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now