ghubar-e-dasht-e-talab mein hain raftagan kya kya
ghubar-e-dasht-e-talab mein hain raftagan kya kya
Amjad Islam Amjad
MORE BYAmjad Islam Amjad
ġhubār-e-dasht-e-talab meñ haiñ raftagāñ kyā kyā
chamak rahe haiñ añdhere meñ ustuḳhvāñ kyā kyā
dikhā ke ham ko hamārā hī qaash qaash badan
dilāse dete haiñ dekho to qātilāñ kyā kyā
ghuTī diloñ kī mohabbat to shahr baḌhne lagā
miTe jo ghar to huvaidā hue makāñ kyā kyā
palaT ke dekhā to apne nishān-e-pā bhī na the
hamāre saath safar meñ the ham-rahāñ kyā kyā
halāk-e-nāla-e-shabnam zarā nazar to uThā
numūd karte haiñ 'ālam meñ gul-ruḳhāñ kyā kyā
kahīñ hai chāñd savālī kahīñ gadā ḳhurshīd
tumhāre dar pe khaḌe haiñ ye sā.ilāñ kyā kyā
bichhaḌ ke tujh se na jī paa.e muḳhtasar ye hai
is ek baat se niklī hai dāstāñ kyā kyā
hai pur-sukūn samundar magar suno to sahī
lab-e-ḳhamosh se kahte haiñ bādbāñ kyā kyā
kisī kā raḳht-e-masāfat tamām dhuup hī dhuup
kisī ke sar pe kashīda haiñ sā.ebāñ kyā kyā
nikal hī jā.egī ik din madār se ye zamīñ
agarche pahre pe baiThe haiñ āsmāñ kyā kyā
fanā kī chaal ke aage kisī kī kuchh na chalī
bisāt-e-dahr se uTThe hisāb-dāñ kyā kyā
kise ḳhabar hai ki 'amjad' bahār aane tak
ḳhizāñ ne chaaT liye hoñge gulsitāñ kyā kyā
ghubar-e-dasht-e-talab mein hain raftagan kya kya
chamak rahe hain andhere mein ustuKHwan kya kya
dikha ke hum ko hamara hi qash qash badan
dilase dete hain dekho to qatilan kya kya
ghuTi dilon ki mohabbat to shahr baDhne laga
miTe jo ghar to huwaida hue makan kya kya
palaT ke dekha to apne nishan-e-pa bhi na the
hamare sath safar mein the ham-rahan kya kya
halak-e-nala-e-shabnam zara nazar to uTha
numud karte hain 'alam mein gul-ruKHan kya kya
kahin hai chand sawali kahin gada KHurshid
tumhaare dar pe khaDe hain ye sailan kya kya
bichhaD ke tujh se na ji pae muKHtasar ye hai
is ek baat se nikli hai dastan kya kya
hai pur-sukun samundar magar suno to sahi
lab-e-KHamosh se kahte hain baadban kya kya
kisi ka raKHt-e-masafat tamam dhup hi dhup
kisi ke sar pe kashida hain saeban kya kya
nikal hi jaegi ek din madar se ye zamin
agarche pahre pe baiThe hain aasman kya kya
fana ki chaal ke aage kisi ki kuchh na chali
bisat-e-dahr se uTThe hisab-dan kya kya
kise KHabar hai ki 'amjad' bahaar aane tak
KHizan ne chaT liye honge gulsitan kya kya
- Book : Fishaar (Pg. 26)
- Author : Amjad Islam Amjad
- Publication : Fawaz Niyaaz (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.