ginti mein be-shumar the kam kar diye gae
gintī meñ be-shumār the kam kar diye ga.e
ham saath ke qabīloñ meñ zam kar diye ga.e
pahle nisāb-e-aql huā ham se intisāb
phir yuuñ huā ki qatl bhī ham kar diye ga.e
pahle lahūluhān kiyā ham ko shahr ne
phir pairahan hamāre alam kar diye ga.e
pahle hī kam thī qarya-e-jānāñ meñ raushnī
aur us pe kuchh charāġh bhī kam kar diye ga.e
is daur-e-nā-shanās meñ ham se arab-nazhād
lab kholne lage to ajam kar diye ga.e
ginti mein be-shumar the kam kar diye gae
hum sath ke qabilon mein zam kar diye gae
pahle nisab-e-aql hua hum se intisab
phir yun hua ki qatl bhi hum kar diye gae
pahle lahuluhan kiya hum ko shahr ne
phir pairahan hamare alam kar diye gae
pahle hi kam thi qarya-e-jaanan mein raushni
aur us pe kuchh charagh bhi kam kar diye gae
is daur-e-na-shanas mein hum se arab-nazhad
lab kholne lage to ajam kar diye gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.