dil kabhi mail-e-fughan na hua
dil kabhī mā.il-e-fuġhāñ na huā
qissa-e-ġham jo thā bayāñ na huā
ġhair kī baat kyā karūñ hamdam
mujh se apnā hī ġham bayāñ na huā
aage kyā hogā ye kise mā'lūm
vaqt ab tak to mehrbāñ na huā
biich se baat kaaT dī us ne
qissa-e-dard-o-ġham bayāñ na huā
zindagī kā 'urūj kyā jaane
vo jo taqdīr-e-āsmāñ na huā
ik ḳhamoshī hai laakh goyā.ī
tum jo samjho to kyā bayāñ na huā
tab' tūfāñ-navāz hai apnī
maiñ kināroñ kā pāsbāñ na huā
apnī bāteñ haiñ sub.h-o-shām 'azīz'
maiñ zamāne kā tarjumāñ na huā
dil kabhi mail-e-fughan na hua
qissa-e-gham jo tha bayan na hua
ghair ki baat kya karun hamdam
mujh se apna hi gham bayan na hua
aage kya hoga ye kise ma'lum
waqt ab tak to mehrban na hua
bich se baat kaT di us ne
qissa-e-dard-o-gham bayan na hua
zindagi ka 'uruj kya jaane
wo jo taqdir-e-asman na hua
ek KHamoshi hai lakh goyai
tum jo samjho to kya bayan na hua
tab' tufan-nawaz hai apni
main kinaron ka pasban na hua
apni baaten hain subh-o-sham 'aziz'
main zamane ka tarjuman na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.