Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

faza mein kaisi udasi hai kya kaha jae

Makhmoor Saeedi

faza mein kaisi udasi hai kya kaha jae

Makhmoor Saeedi

MORE BYMakhmoor Saeedi

    fazā meñ kaisī udāsī hai kyā kahā jaa.e

    'ajīb shaam ye guzrī hai kyā kahā jaa.e

    ka.ī gumān hameñ zindagī pe guzre haiñ

    ye ajnabī hai ki apnī hai kyā kahā jaa.e

    vo dhuup dushman-e-jāñ thī so thī ḳhamosh the ham

    ye chāñdnī hameñ Dastī hai kyā kahā jaa.e

    yahāñ bhī dil pe udāsī chhā rahā hai dhuāñ

    ye rang o nuur bastī hai kyā kahā jaa.e

    koī payām hamāre liye nahīñ na sahī

    magar sadā to usī hai kyā kahā jaa.e

    hamāre 'ahd ke uljhe hue savāloñ

    javāb sirf ḳhamoshī hai kyā kahā jaa.e

    zabāñ pe shukr o shikāyat ke sau fasāne haiñ

    magar jo dil pe guzartī hai kyā kahā jaa.e

    tamām shahr ko kyuuñ chup lagī hai kyā jāneñ

    ghuTan diloñ meñ ye kaisī hai kyā kahā jaa.e

    shanāḳht dost na dushman mo'tabar 'maḳhmūr'

    har ek shakl dhuñdlī hai kyā kahā jaa.e

    faza mein kaisi udasi hai kya kaha jae

    'ajib sham ye guzri hai kya kaha jae

    kai guman hamein zindagi pe guzre hain

    ye ajnabi hai ki apni hai kya kaha jae

    wo dhup dushman-e-jaan thi so thi KHamosh the hum

    ye chandni hamein Dasti hai kya kaha jae

    yahan bhi dil pe udasi ka chha raha hai dhuan

    ye rang o nur ki basti hai kya kaha jae

    koi payam hamare liye nahin na sahi

    magar sada to usi ki hai kya kaha jae

    hamare 'ahd ke uljhe hue sawalon ka

    jawab sirf KHamoshi hai kya kaha jae

    zaban pe shukr o shikayat ke sau fasane hain

    magar jo dil pe guzarti hai kya kaha jae

    tamam shahr ko kyun chup lagi hai kya jaanen

    ghuTan dilon mein ye kaisi hai kya kaha jae

    shanaKHt dost na dushman ki mo'tabar 'maKHmur'

    har ek shakl hi dhundli hai kya kaha jae

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    faza mein kaisi udasi hai kya kaha jae Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now