Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fasil shahr ki itni buland o saKHt hui

Humaira Rahman

fasil shahr ki itni buland o saKHt hui

Humaira Rahman

fasīl shahr itnī buland o saḳht huī

ki kul sipāh mazāmīn-e-tāj-o-taḳht huī

bujhā charāġh thī maiñ hāsidoñ āñkhoñ meñ

duā ke shahr meñ aa.ī to sabz baḳht huī

vo lamha jab mire bachche ne maañ pukārā mujhe

maiñ ek shāḳh se kitnā ghanā daraḳht huī

kisī ne sabz jazīre pe mujh ko rok liyā

safar ke azm naav bhī laḳht laḳht huī

ta.alluqāt 'humairā' kabīda hone meñ

nigāh-e-dost āvāz bhī karaḳht huī

fasil shahr ki itni buland o saKHt hui

ki kul sipah mazamin-e-taj-o-taKHt hui

bujha charagh thi main hasidon ki aankhon mein

dua ke shahr mein aai to sabz baKHt hui

wo lamha jab mere bachche ne man pukara mujhe

main ek shaKH se kitna ghana daraKHt hui

kisi ne sabz jazire pe mujh ko rok liya

safar ke azm ki naw bhi laKHt laKHt hui

talluqat 'humaira' kabida hone mein

nigah-e-dost ki aawaz bhi karaKHt hui

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Humaira Rahman

Humaira Rahman

Source :
  • Book : urdu gazal ka magribi daricha (Pg. 78)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now