kya lage aankh ki phir dil mein samaya koi
kyā lage aañkh ki phir dil meñ samāyā koī
raat bhar phirtā hai is shahr meñ saayā koī
fikr ye thī ki shab-e-hijr kaTegī kyūñ-kar
lutf ye hai ki hameñ yaad na aayā koī
shauq ye thā ki mohabbat meñ jaleñge chup-chāp
ranj ye hai ki tamāsha na dikhāyā koī
shahr meñ hamdam-e-derīna bahut the 'nāsir'
vaqt paḌne pe mire kaam na aayā koī
kya lage aankh ki phir dil mein samaya koi
raat bhar phirta hai is shahr mein saya koi
fikr ye thi ki shab-e-hijr kaTegi kyun-kar
lutf ye hai ki hamein yaad na aaya koi
shauq ye tha ki mohabbat mein jalenge chup-chap
ranj ye hai ki tamasha na dikhaya koi
shahr mein hamdam-e-derina bahut the 'nasir'
waqt paDne pe mere kaam na aaya koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.