ek to qayamat hai is makan ki tanhai
ek to qayāmat hai is makāñ kī tanhā.ī
us pe maar Dālegī mujh ko jaañ kī tanhā.ī
tum ne to sitāroñ ko duur hī se dekhā hai
tum samajh na pāoge āsmāñ kī tanhā.ī
vo udhar akelā thā ham idhar akele the
rāste meñ haa.il thī darmiyāñ kī tanhā.ī
phir vahī charāġhoñ kā rafta rafta bujh jaanā
phir vahī sukūt-e-shab phir vo jaañ kī tanhā.ī
dasht meñ bhī kuchh din tak vahshateñ to hotī haiñ
raas aane lagtī hai phir vahāñ kī tanhā.ī
koī bhī yaqīñ dil ko 'shād' kar nahīñ saktā
ruuh meñ utar jaa.e jab gumāñ kī tanhā.ī
ek to qayamat hai is makan ki tanhai
us pe mar Dalegi mujh ko jaan ki tanhai
tum ne to sitaron ko dur hi se dekha hai
tum samajh na paoge aasman ki tanhai
wo udhar akela tha hum idhar akele the
raste mein hail thi darmiyan ki tanhai
phir wahi charaghon ka rafta rafta bujh jaana
phir wahi sukut-e-shab phir wo jaan ki tanhai
dasht mein bhi kuchh din tak wahshaten to hoti hain
ras aane lagti hai phir wahan ki tanhai
koi bhi yaqin dil ko 'shad' kar nahin sakta
ruh mein utar jae jab guman ki tanhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.