ek pal mein TuTne ko hai samundar ka sukut
ek pal meñ TūTne ko hai samundar kā sukūt
ye ishāra kar rahā hai ret ke ghar kā sukūt
ham bahut pachhtā.e āvāzoñ se rishta joḌ kar
shor ik lamhe kā thā aur zindagī bhar kā sukūt
ho sake to kījiye ab zalzale kā ehtimām
varna dastak se nahīñ TūTegā is ghar kā sukūt
koī to āvāz ubhre dil ke vīrāne se ab
chāTtā jaatā hai mujh ko mere andar kā sukūt
ek lamhe meñ shafaq ke rañg ko kajlā ga.ī
us kī pal bhar kī udāsī us kā pal bhar kā sukūt
ek pal mein TuTne ko hai samundar ka sukut
ye ishaara kar raha hai ret ke ghar ka sukut
hum bahut pachhtae aawazon se rishta joD kar
shor ek lamhe ka tha aur zindagi bhar ka sukut
ho sake to kijiye ab zalzale ka ehtimam
warna dastak se nahin TuTega is ghar ka sukut
koi to aawaz ubhre dil ke virane se ab
chaTta jata hai mujh ko mere andar ka sukut
ek lamhe mein shafaq ke rang ko kajla gai
us ki pal bhar ki udasi us ka pal bhar ka sukut
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 116)
- Author : Nomaan Shauq
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.