Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek mushkil si bahar-taur bani hoti hai

Abbas Tabish

ek mushkil si bahar-taur bani hoti hai

Abbas Tabish

ek mushkil bahar-taur banī hotī hai

tujh se baaz aa.eñ to phir ḳhud se Thanī hotī hai

kuchh to le baiThtī hai apnī shikasta-pā.ī

aur kuchh raah meñ chhāñv bhī ghanī hotī hai

mere siine se zarā kaan lagā kar dekho

saañs chaltī hai ki zanjīr-zanī hotī hai

ābla-pā.ī bhī hotī hai muqaddar apnā

sar pe aflāk chādar bhī tanī hotī hai

duudh nahr nikālī hai ġhamoñ se ham ne

ham batā sakte haiñ kyā koh-kanī hotī hai

aañkh to khultī hai kirnoñ talab meñ lekin

zeb-e-mizhgāñ kisī neze anī hotī hai

dasht-e-ġhurbat pe mauqūf nahīñ hai 'tābish'

ab to ghar meñ bhī ġharīb-ul-vatanī hotī hai

ek mushkil si bahar-taur bani hoti hai

tujh se baz aaen to phir KHud se Thani hoti hai

kuchh to le baiThti hai apni shikasta-pai

aur kuchh rah mein chhanw bhi ghani hoti hai

mere sine se zara kan laga kar dekho

sans chalti hai ki zanjir-zani hoti hai

aabla-pai bhi hoti hai muqaddar apna

sar pe aflak ki chadar bhi tani hoti hai

dudh ki nahr nikali hai ghamon se hum ne

hum bata sakte hain kya koh-kani hoti hai

aankh to khulti hai kirnon ki talab mein lekin

zeb-e-mizhgan kisi neze ki ani hoti hai

dasht-e-ghurbat hi pe mauquf nahin hai 'tabish'

ab to ghar mein bhi gharib-ul-watani hoti hai

Source :
  • Book : Agar Main Sher Na Kahta (Pg. 45)
  • Author :Abbas Tabish
  • Publication : Rekhta Publications (2022)
  • Edition : 2nd
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now