ek din bhi to na apni raat nurani hui
ek din bhī to na apnī raat nūrānī huī
ham ko kyā ai mah-jabīñ gar chāñd-peshānī huī
sard-mehrī kā tirī saaqī natīja ye huā
aag ke moloñ jo biktī thī vo mai paanī huī
allāh allāh phuuT niklā rañg chāhat kā mirī
zahr khāyā maiñ ne poshāk aap kī dhānī huī
ham ko ho saktā nahīñ dhokā hujūm-e-hashr meñ
terī sūrat hai azal se jaanī pahchānī huī
le uḌī ghūñgaT ke andar se nigāh-e-mast hosh
aaj saaqī ne pilā.ī mai hameñ chhānī huī
jaan kar dushman jo lipTe jaan meñ jaañ aa ga.ī
bārak-allāh kis maze kī tum se nādānī huī
rafta rafta dīda-e-tar ko Duboyā ashk ne
paanī riste riste kashtī merī tūfānī huī
kar ga.ī dīvāngī ham ko barī har jurm se
chāk-dāmānī se apnī pāk-dāmānī huī
ḳhuun kī chādar mubārak bā-hayā talvār ko
myaan se bāhar nikal kar bhī na uryānī huī
raat ko chhup kar nikal jaatī hai āñkhoñ se 'jalīl'
sair dekho niiñd bhī kam-baḳht sailānī huī
ek din bhi to na apni raat nurani hui
hum ko kya ai mah-jabin gar chand-peshani hui
sard-mehri ka teri saqi natija ye hua
aag ke molon jo bikti thi wo mai pani hui
allah allah phuT nikla rang chahat ka meri
zahr khaya main ne poshak aap ki dhani hui
hum ko ho sakta nahin dhoka hujum-e-hashr mein
teri surat hai azal se jaani pahchani hui
le uDi ghungaT ke andar se nigah-e-mast hosh
aaj saqi ne pilai mai hamein chhani hui
jaan kar dushman jo lipTe jaan mein jaan aa gai
barak-allah kis maze ki tum se nadani hui
rafta rafta dida-e-tar ko Duboya ashk ne
pani riste riste kashti meri tufani hui
kar gai diwangi hum ko bari har jurm se
chaak-damani se apni pak-damani hui
KHun ki chadar mubarak ba-haya talwar ko
myan se bahar nikal kar bhi na uryani hui
raat ko chhup kar nikal jati hai aankhon se 'jalil'
sair dekho nind bhi kam-baKHt sailani hui
- Book : Kainat-e-Jalil Manakpuri (Pg. 130)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.