duriyan simaTne mein der kuchh to lagti hai
dūriyāñ simaTne meñ der kuchh to lagtī hai
ranjishoñ ke miTne meñ der kuchh to lagtī hai
hijr ke dorāhe par ek pal na Thahrā vo
rāste badalne meñ der kuchh to lagtī hai
aañkh se na haTnā tum aañkh ke jhapakne tak
aañkh ke jhapakne meñ der kuchh to lagtī hai
hādisa bhī hone meñ vaqt kuchh to letā hai
baḳht ke bigaḌne meñ der kuchh to lagtī hai
ḳhushk bhī na ho paa.ī raushnā.ī harfoñ kī
jān-e-man mukarne meñ der kuchh to lagtī hai
fard kī nahīñ hai ye baat hai qabīle kī
gir ke phir sambhalne meñ der kuchh to lagtī hai
dard kī kahānī ko ishq ke fasāne ko
dāstān banñe meñ der kuchh to lagtī hai
dastakeñ bhī dene par dar agar na khultā ho
sīḌhiyāñ utarne meñ der kuchh to lagtī hai
ḳhvāhisheñ parindoñ se laakh miltī-jultī hoñ
dost par nikalne meñ der kuchh to lagtī hai
umr-bhar kī mohlat to vaqt hai ta.āruf kā
zindagī samajhne meñ der kuchh to lagtī hai
rañg yuuñ to hote haiñ bādaloñ ke andar hī
par dhanak ke banñe meñ der kuchh to lagtī hai
un kī aur phūloñ kī ek sī ridā.eñ haiñ
titliyāñ pakaḌne meñ der kuchh to lagtī hai
zalzale kī sūrat meñ ishq vaar kartā hai
sochne samajhne meñ der kuchh to lagtī hai
bhiiḌ vaqt letī hai rahnumā parakhne meñ
kārvān banñe meñ der kuchh to lagtī hai
ho chaman ke phūloñ kā yā kisī parī-vash kā
husn ke sañvarne meñ der kuchh to lagtī hai
mustaqil nahīñ 'amjad' ye dhuāñ muqaddar kā
lakḌiyāñ sulagne meñ der kuchh to lagtī hai
duriyan simaTne mein der kuchh to lagti hai
ranjishon ke miTne mein der kuchh to lagti hai
hijr ke dorahe par ek pal na Thahra wo
raste badalne mein der kuchh to lagti hai
aankh se na haTna tum aankh ke jhapakne tak
aankh ke jhapakne mein der kuchh to lagti hai
hadisa bhi hone mein waqt kuchh to leta hai
baKHt ke bigaDne mein der kuchh to lagti hai
KHushk bhi na ho pai raushnai harfon ki
jaan-e-man mukarne mein der kuchh to lagti hai
fard ki nahin hai ye baat hai qabile ki
gir ke phir sambhalne mein der kuchh to lagti hai
dard ki kahani ko ishq ke fasane ko
dastan banne mein der kuchh to lagti hai
dastaken bhi dene par dar agar na khulta ho
siDhiyan utarne mein der kuchh to lagti hai
KHwahishen parindon se lakh milti-julti hon
dost par nikalne mein der kuchh to lagti hai
umr-bhar ki mohlat to waqt hai taaruf ka
zindagi samajhne mein der kuchh to lagti hai
rang yun to hote hain baadalon ke andar hi
par dhanak ke banne mein der kuchh to lagti hai
un ki aur phulon ki ek si ridaen hain
titliyan pakaDne mein der kuchh to lagti hai
zalzale ki surat mein ishq war karta hai
sochne samajhne mein der kuchh to lagti hai
bhiD waqt leti hai rahnuma parakhne mein
karwan banne mein der kuchh to lagti hai
ho chaman ke phulon ka ya kisi pari-wash ka
husn ke sanwarne mein der kuchh to lagti hai
mustaqil nahin 'amjad' ye dhuan muqaddar ka
lakDiyan sulagne mein der kuchh to lagti hai
- Book : Batain Kartay Din (Pg. 155)
- Author : Amjad Islam Amjad
- Publication : Sang-e-meel Publications (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.